▪︎20-04-2022▪︎
Subah (صبح) ka sona rizq ko rok deta hai.
[Musnade Ahmed : 530]
join us @knowledge
▪︎18-04-2022▪︎
Insaan mein paayi jaane waali sab se buri aadatein; intihaai darje ka laalach aur intihaai darje ki buzdili hai.
[Abu Daaood : 2511]
join us @knowledge
▪︎15-04-2022▪︎
Tum jahaan bhi hoge (ek na ek din) maut tumhein aa pakdegi, chaahe tum mazboot qil'on mein kyun na reh rahe ho.
[Sura-E-Nisa : 78]
join us @knowledge
▪︎13-04-2022▪︎
Naiki aur buraai baraabar nahi hoti, is liye tum buraai ka jawaab aise tareeqe se do jo behtareen ho, nateeja yeh hoga ke tujh mein aur jis mein dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.
[Sura-E-Haa Meem Sajdah : 34]
join us @knowledge
ایک کھانے/ دسترخوان پر اللہ تعالی نے
کتنی نعمتیں عطا کی ہیں !
مفتی محمد تقی عثمانی صاحب
join us @knowledge
▪︎19-04-2022▪︎
Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo.
[Sura-E-Nahl : 91]
join us @knowledge
▪︎16-04-2022▪︎
Tum mein se koi apni peeth par lakdiyaan laad kar laaye (aur use bech kar rozi kamaaye) yeh doosre ke saamne haath phailaane se behtar hai.
[Bukhari : 2074]
join us @knowledge
▪︎14-04-2021▪︎
Jo shakhs Allah aur us ke Rasool ﷺ ka kehna na maane, woh khuli huwi gumraahi mein hai.
(Sura-e-Ahzaab: 36)
join us @knowledge
▪︎12-04-2022▪︎
Tum log qarz lena kam kardo, aazaadi ke saath zindagi guzaaroge.
[Sho’bul Imaan: 5557]
join us @knowledge